Saturday, March 7, 2009

"Jaago"

Ae manushya,
uth jaag,
chal jaa,
daud,
bhaag us raah par,
jisme
kathinaiya tera sar chume,
aur,
kaante chubhe tere pawn par.

Chod de machinikaran
kar de manushikaran.
taaki,
jeevan lage to jeevan is sansaar par.

Nav yug mein,
mehnat aur kathinaaiya kahin gayi hai gum,
bina unke,
khushiyo ki fikki ho gai hai dhoom.

Zara upar dekh,
talwaar sar par tang rahi.

Ab samay aa gaya hai,
aasinata ko hatane ka,
is dharti ke saare,
insaano ko jagaane ka.

Bhale hi,
poornima ki roshni kam nahi,
par,
amavasya mein diwali ki baat hi nirali hai.

Chaundhiya de,
sabki aankho ko aisi law jaga tu,
suraj chup jaaye tere saamne,
aisa ujala faila tu.

Maana,
kuch bhi aasaan nahi,
par,
kabhie na ghabraana tu,
har pal apni si hi,
ek nai law jagana tu.
sab milkar phir ek,
nayi jwala bhadkana tu.

Jaise,
kankar se parvat bankar,
saagar ko harana tu.
yehi waqt ka aagaaz hai....
har insaan ko jagaana tu...
har insaan ko jagaana tu....

"Waqt ki raftaar"

Waqt ki raftaar se,
raftaar milana chahte ho
to soch lo pehle kahan par
kadam badhana chahte ho

Jitne chale is raah par
bahut aage kahin hai ja pahuche
dharti par hi nai
aakash par bhi taare bankar hai chamke

Zindagi hui unki safal
vifaltaaon ke aaye na pal
aaj wo waqt ki gati par nai
waqt unki gati aur raah par hai

Isiliye mein poochti hoon
kya apni gati par chala paoge is sansaar ko
yadi sakshamta hai
aur hosle bhi hai buland
ae raahi , phir chad ja
tu samay ki is talwaar par!!

"Aaj ke mahant"

'Mahanto' ki toli se,
naaro ki goli chali.
jo ja kar aaj ke
insaan ko lagti hai.
rote hai wo bechare
aur hamesha yehi sochte hai
yadi sabhie sacche 'mahant' hai
to vichar unke kyu takrate hai
jaise,
sacchai ko kaise bhi dekh lo,
sach ke do roop nai hote.
waise hi,
naare kitne bhi laga lo,
doosre gandhiji asal mein kuch nai hote!!!