Saturday, March 7, 2009

"Aaj ke mahant"

'Mahanto' ki toli se,
naaro ki goli chali.
jo ja kar aaj ke
insaan ko lagti hai.
rote hai wo bechare
aur hamesha yehi sochte hai
yadi sabhie sacche 'mahant' hai
to vichar unke kyu takrate hai
jaise,
sacchai ko kaise bhi dekh lo,
sach ke do roop nai hote.
waise hi,
naare kitne bhi laga lo,
doosre gandhiji asal mein kuch nai hote!!!

2 comments:

Maneesh said...

Sach mein apni-apni soch ke aayam hai.
shesh sab samjh ka pher buddhi ke vyayam hai.

Unknown said...

@maneesh....hey...nicely put up....thx for commentin.... :)